surma-e-muft-e-nazar  huuñ  mirī  qīmat  ye  hai
ki  rahe  chashm-e-ḳharīdār  pe  ehsāñ  merā
ruḳhsat-e-nāla  mujhe  de  ki  mabādā  zālim
tere  chehre  se  ho  zāhir  ġham-e-pinhāñ  merā
ḳhalvat-e-ābila-e-pā  meñ  hai  jaulāñ  merā
ḳhuuñ  hai  dil  tañgī-e-vahshat  se  bayābāñ  merā
hasrat-e-nashsha-e-vahshat  na  ba-sa.i-e-dil  hai
arz-e-ḳhamiyāza-e-majnūñ  hai  garebāñ  merā
fahm  zanjīrī-e-be-rabtī-e-dil  hai  yā-rab
kis  zabāñ  meñ  hai  laqab  ḳhvāb-e-pareshāñ  merā