Mirza Ghalib

na gul-e-naghma hun na parda-e-saz

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

na gul-e-naġhma huuñ na parda-e-sāz

maiñ huuñ apnī shikast āvāz

aur ārā.ish-e-ḳham-e-kākul

maiñ aur andesha-hā-e-dūr-darāz

lāf-e-tamkīñ fareb-e-sāda-dilī

ham haiñ aur rāz-hā-e-sīna-gudāz

huuñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād

varna baaqī hai tāqat-e-parvāz

vo bhī din ho ki us sitamgar se

naaz khīñchūñ bajā.e hasrat-e-nāz

nahīñ dil meñ mire vo qatra-e-ḳhūñ

jis se mizhgāñ huī na ho gul-bāz

ai tirā ġhamza yak-qalam-añgez

ai tirā zulm sar-ba-sar andāz

huā jalva-gar mubārak ho

rezish-e-sajda-e-jabīn-e-niyāz

mujh ko pūchhā to kuchh ġhazab na huā

maiñ ġharīb aur ġharīb-navāz

'asad'-ullāh ḳhaañ tamām huā

ai dareġhā vo rind-e-shāhid-bāz

Top Urdushayar.com