Mirza Ghalib

ghar jab bana liya tere dar par kahe baghair

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

ghar jab banā liyā tire dar par kahe baġhair

jānegā ab bhī na mirā ghar kahe baġhair

kahte haiñ jab rahī na mujhe tāqat-e-suḳhan

jānūñ kisī ke dil maiñ kyūñkar kahe baġhair

kaam us se aa paḌā hai ki jis jahān meñ

leve na koī naam sitamgar kahe baġhair

meñ kuchh nahīñ hai hamāre vagarna ham

sar jaa.e rahe na raheñ par kahe baġhair

chhoḌūñgā maiñ na us but-e-kāfir pūjnā

chhoḌe na ḳhalq go mujhe kāfar kahe baġhair

maqsad hai nāz-o-ġhamza vale guftugū meñ kaam

chaltā nahīñ hai dashna-o-ḳhanjar kahe baġhair

har chand ho mushāhida-e-haq guftugū

bantī nahīñ hai bāda-o-sāġhar kahe baġhair

bahrā huuñ maiñ to chāhiye duunā ho iltifāt

suntā nahīñ huuñ baat mukarrar kahe baġhair

'ġhālib' na kar huzūr meñ baar baar arz

zāhir hai terā haal sab un par kahe baġhair

Top Urdushayar.com