ham  rashk  ko  apne  bhī  gavārā  nahīñ  karte
marte  haiñ  vale  un  kī  tamannā  nahīñ  karte
dar-parda  unheñ  ġhair  se  hai  rabt-e-nihānī
zāhir  kā  ye  parda  hai  ki  parda  nahīñ  karte
ye  bā.is-e-naumīdi-e-arbāb-e-havas  hai
'ġhālib'  ko  burā  kahte  haiñ  achchhā  nahīñ  karte