dil-e-nādāñ  tujhe  huā  kyā  hai
āḳhir  is  dard  kī  davā  kyā  hai
ham  haiñ  mushtāq  aur  vo  be-zār
yā  ilāhī  ye  mājrā  kyā  hai
maiñ  bhī  muñh  meñ  zabān  rakhtā  huuñ
kaash  pūchho  ki  mudda.ā  kyā  hai
jab  ki  tujh  bin  nahīñ  koī  maujūd
phir  ye  hañgāma  ai  ḳhudā  kyā  hai
ye  parī-chehra  log  kaise  haiñ
ġhamza  o  ishva  o  adā  kyā  hai
shikan-e-zulf-e-ambarīñ  kyuuñ  hai
nigah-e-chashm-e-surma  sā  kyā  hai
sabza  o  gul  kahāñ  se  aa.e  haiñ
abr  kyā  chiiz  hai  havā  kyā  hai
ham  ko  un  se  vafā  kī  hai  ummīd
jo  nahīñ  jānte  vafā  kyā  hai
haañ  bhalā  kar  tirā  bhalā  hogā
aur  darvesh  kī  sadā  kyā  hai
jaan  tum  par  nisār  kartā  huuñ
maiñ  nahīñ  jāntā  duā  kyā  hai
maiñ  ne  maanā  ki  kuchh  nahīñ  'ġhālib'
muft  haath  aa.e  to  burā  kyā  hai