gar  ḳhāmushī  se  fā.eda  iḳhfā-e-hāl  hai
ḳhush  huuñ  ki  merī  baat  samajhnī  muhāl  hai
kis  ko  sunā.ūñ  hasrat-e-iz.hār  kā  gila
dil  fard-e-jama-o-ḳharch  zabāñ-hā-e-lāl  hai
kis  parde  meñ  hai  ā.ina-pardāz  ai  ḳhudā
rahmat  ki  uzr-ḳhvāh-e-lab-e-be-savāl  hai
hai  hai  ḳhudā-na-ḳhvāsta  vo  aur  dushmanī
ai  shauq-e-munfa.il  ye  tujhe  kyā  ḳhayāl  hai
mushkīñ  libās-e-kāba  alī  ke  qadam  se  jaan
nāf-e-zamīn  hai  na  ki  nāf-e-ġhazāl  hai
vahshat  pe  merī  arsa-e-āfāq  tañg  thā
dariyā  zamīn  ko  araq-e-infi.āl  hai
hastī  ke  mat  fareb  meñ  aa  jā.iyo  'asad'
aalam  tamām  halqa-e-dām-e-ḳhayāl  hai
pahlū-tahī  na  kar  ġham-o-andoh  se  'asad'
dil  vaqf-e-dard  kar  ki  faqīroñ  kā  maal  hai