Mirza Ghalib

jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869

jāda-e-rah ḳhur ko vaqt-e-shām hai tār-e-shuā.a

charḳh kartā hai māh-e-nau se āġhosh-e-vidā.a

sham.a se hai bazm-e-añgusht-e-tahayyur dar dahan

sho.ala-e-āvāz-e-ḳhūbāñ par ba-hañgām-e-simā.a

juuñ par-e-tā.ūs jauhar taḳhta mashq-e-rañg hai

bas-ki hai vo qibla-e-ā.īna mahv-e-iḳhtirā.a

ranjish-e-hairat-sarishtāñ sīna-sāfī peshkash

jauhar-e-ā.īna hai yaañ gard-e-maidān-e-nazā.a

chaar sū-e-dahr meñ bāzār-e-ġhaflat garm hai

aql ke nuqsāñ se uThtā hai ḳhayāl-e-intifā.a

āshnā 'ġhālib' nahīñ haiñ dard-e-dil ke āshnā

varna kis ko mere afsāne tāb-e-istimā.a

Top Urdushayar.com