shab  ḳhumār-e-shauq-e-sāqī  rustaḳhez-andāza  thā
tā-muhīt-e-bāda  sūrat  ḳhāna-e-ḳhamyāza  thā
yak  qadam  vahshat  se  dars-e-daftar-e-imkāñ  khulā
jaada  ajzā-e-do-ālam  dasht  kā  shīrāza  thā
māna-e-vahshat-ḳhirāmī-hā-e-lailā  kaun  hai
ḳhāna-e-majnūn-e-sahrā-gard  be-darvāza  thā
pūchh  mat  rusvā.i-e-andāz-e-istiġhnā-e-husn
dast  marhūn-e-hinā  ruḳhsār  rahn-e-ġhāza  thā
nāla-e-dil  ne  diye  aurāq-e-laḳht-e-dil  ba-bād
yād-gār-e-nāla  ik  dīvān-e-be-shīrāza  thā
huuñ  charāġhān-e-havas  juuñ  kāġhaz-e-ātish-zada
daaġh  garm-e-koshish-e-ījād-e-dāġh-e-tāza  thā
be-navā.ī  tar  sadā-e-naġhma-e-shohrat  'asad'
boriyā  yak  nīstāñ-ālam  buland  āvāza  thā