tum  jaano  tum  ko  ġhair  se  jo  rasm-o-rāh  ho
mujh  ko  bhī  pūchhte  raho  to  kyā  gunāh  ho
bachte  nahīñ  muvāḳhaza-e-roz-e-hashr  se
qātil  agar  raqīb  hai  to  tum  gavāh  ho
kyā  vo  bhī  be-gunah-kush  o  haq-nā-shanās  haiñ
maanā  ki  tum  bashar  nahīñ  ḳhurshīd  o  maah  ho
ubhrā  huā  naqāb  meñ  hai  un  ke  ek  taar
martā  huuñ  maiñ  ki  ye  na  kisī  kī  nigāh  ho
jab  mai-kada  chhuTā  to  phir  ab  kyā  jagah  kī  qaid
masjid  ho  madrasa  ho  koī  ḳhānqāh  ho
sunte  haiñ  jo  bahisht  kī  tārīf  sab  durust
lekin  ḳhudā  kare  vo  tirā  jalva-gāh  ho
'ġhālib'  bhī  gar  na  ho  to  kuchh  aisā  zarar  nahīñ
duniyā  ho  yā  rab  aur  mirā  bādshāh  ho