zikr  merā  ba-badī  bhī  use  manzūr  nahīñ
ġhair  kī  baat  bigaḌ  jaa.e  to  kuchh  duur  nahīñ
vada-e-sair-e-gulistāñ  hai  ḳhushā  tāle-e-shauq
muzhda-e-qatl  muqaddar  hai  jo  mazkūr  nahīñ
shāhid-e-hastī-e-mutlaq  kī  kamar  hai  aalam
log  kahte  haiñ  ki  hai  par  hameñ  manzūr  nahīñ
qatra  apnā  bhī  haqīqat  meñ  hai  dariyā  lekin
ham  ko  taqlīd-e-tunuk-zarfi-e-mansūr  nahīñ
hasrat  ai  zauq-e-ḳharābī  ki  vo  tāqat  na  rahī
ishq-e-pur-arbada  kī  guuñ  tan-e-ranjūr  nahīñ
maiñ  jo  kahtā  huuñ  ki  ham  leñge  qayāmat  meñ  tumheñ
kis  ra.ūnat  se  vo  kahte  haiñ  ki  ham  huur  nahīñ
zulm  kar  zulm  agar  lutf  dareġh  aatā  ho
tū  taġhāful  meñ  kisī  rañg  se  ma.azūr  nahīñ
saaf  durdi-kash-e-paimāna-e-jam  haiñ  ham  log
vaa.e  vo  baada  ki  afsharda-e-añgūr  nahīñ
huuñ  zuhūrī  ke  muqābil  meñ  ḳhifā.ī  'ġhālib'
mere  da.ave  pe  ye  hujjat  hai  ki  mash.hūr  nahīñ