naqsh  fariyādī  hai  kis  kī  shoḳhi-e-tahrīr  kā
kāġhzī  hai  pairahan  har  paikar-e-tasvīr  kā
kaav  kāv-e-saḳht-jānī  hā.e-tanhā.ī  na  pūchh
sub.h  karnā  shaam  kā  laanā  hai  jū-e-shīr  kā
jazba-e-be-iḳhtiyār-e-shauq  dekhā  chāhiye
sīna-e-shamshīr  se  bāhar  hai  dam  shamshīr  kā
āgahī  dām-e-shunīdan  jis  qadar  chāhe  bichhā.e
mudda.ā  anqā  hai  apne  ālam-e-taqrīr  kā
bas-ki  huuñ  'ġhālib'  asīrī  meñ  bhī  ātish  zer-e-pā
mū-e-ātish  diida  hai  halqa  mirī  zanjīr  kā
ātishīñ-pā  huuñ  gudāz-e-vahshat-e-zindāñ  na  pūchh
mū-e-ātish  diida  hai  har  halqa  yaañ  zanjīr  kā
shoḳhī-e-nairañg  said-e-vahshat-e-tā.ūs  hai
dām-e-sabza  meñ  hai  parvāz-e-chaman  tasḳhīr  kā
lazzat-e-ījād-e-nāz  afsūn-e-arz-e-zauq-e-qatl
na.al  ātish  meñ  hai  teġh-e-yār  se  naḳhchīr  kā
ḳhisht  pusht-e-dast-e-ijz  o  qālib  āġhosh-e-vidā.a
pur  huā  hai  sail  se  paimāna  kis  ta.amīr  kā
vahshat-e-ḳhvāb-e-adam  shor-e-tamāshā  hai  'asad'
jo  maza  jauhar  nahīñ  ā.īna-e-ta.abīr  kā