huī  tāḳhīr  to  kuchh  bā.is-e-tāḳhīr  bhī  thā
aap  aate  the  magar  koī  ināñ-gīr  bhī  thā
tum  se  bejā  hai  mujhe  apnī  tabāhī  kā  gila
us  meñ  kuchh  shā.iba-e-ḳhūbi-e-taqdīr  bhī  thā
tū  mujhe  bhuul  gayā  ho  to  patā  batlā  duuñ
kabhī  fitrāk  meñ  tere  koī  naḳhchīr  bhī  thā
qaid  meñ  hai  tire  vahshī  ko  vahī  zulf  kī  yaad
haañ  kuchh  ik  ranj-e-girāñ-bāri-e-zanjīr  bhī  thā
bijlī  ik  kauñd  ga.ī  āñkhoñ  ke  aage  to  kyā
baat  karte  ki  maiñ  lab-tishna-e-taqrīr  bhī  thā
yūsuf  us  ko  kahūñ  aur  kuchh  na  kahe  ḳhair  huī
gar  bigaḌ  baiThe  to  maiñ  lā.iq-e-tāzīr  bhī  thā
dekh  kar  ġhair  ko  ho  kyuuñ  na  kalejā  ThanDā
naala  kartā  thā  vale  tālib-e-tāsīr  bhī  thā
peshe  meñ  aib  nahīñ  rakhiye  na  farhād  ko  naam
ham  hī  āshufta-saroñ  meñ  vo  javāñ-mīr  bhī  thā
ham  the  marne  ko  khaḌe  paas  na  aayā  na  sahī
āḳhir  us  shoḳh  ke  tarkash  meñ  koī  tiir  bhī  thā
pakḌe  jaate  haiñ  farishtoñ  ke  likhe  par  nā-haq
aadmī  koī  hamārā  dam-e-tahrīr  bhī  thā
reḳhte  ke  tumhīñ  ustād  nahīñ  ho  'ġhālib'
kahte  haiñ  agle  zamāne  meñ  koī  'mīr'  bhī  thā