siyāhī  jaise  gir  jaa.e  dam-e-tahrīr  kāġhaz  par
mirī  qismat  meñ  yuuñ  tasvīr  hai  shab-hā-e-hijrāñ  kī
kahūñ  kyā  garm-joshī  mai-kashī  meñ  sho.ala-rūyāñ  kī
ki  sham-e-ḳhāna-e-dil  ātish-e-mai  se  farozāñ  kī
hamesha  mujh  ko  tiflī  meñ  bhī  mashq-e-terah-rozī  thī
siyāhī  hai  mire  ayyām  meñ  lauh-e-dabistāñ  kī
dareġh  āh-e-sahar-gah  kār-e-bād-e-sub.h  kartī  hai
ki  hotī  hai  ziyāda  sard-mehrī  sham.a-rūyāñ  kī
mujhe  apne  junūñ  kī  be-takalluf  parda-dārī  thī
va-lekin  kyā  karūñ  aave  jo  rusvā.ī  garebāñ  kī
hunar  paidā  kiyā  hai  maiñ  ne  hairat-āzmā.ī  meñ
ki  jauhar  aa.ine  kā  har  palak  hai  chashm-e-hairāñ  kī
ḳhudāyā  kis  qadar  ahl-e-nazar  ne  ḳhaak  chhānī  hai
ki  haiñ  sad-raḳhna  juuñ  ġhirbāl  dīvāreñ  gulistāñ  kī
huā  sharm-e-tahī-dastī  se  se  vo  bhī  sar-nigūñ  āḳhir
bas  ai  zaḳhm-e-jigar  ab  dekh  le  shorish  namak-dāñ  kī
bayād-e-garmī-e-sohbat  ba-rañg-e-sho.ala  dahke  hai
chhupā.ūñ  kyūñki  'ġhālib'  sozisheñ  dāġh-e-numāyāñ  kī
junūñ  tohmat-kash-e-taskīñ  na  ho  gar  shādmānī  kī
namak-pāsh-e-ḳharāsh-e-dil  hai  lazzat  zindagānī  kī
kashākash-hā-e-hastī  se  kare  kyā  sa.i-e-āzādī
hui  zanjīr-e-mauj-e-āb  ko  fursat  ravānī  kī
na  khīñch  ai  sa.ī-e-dast-e-nā-rasā  zulf-e-tamannā  ko
pareshāñ-tar  hai  mū-e-ḳhāma  se  tadbīr  maanī  kī
kahāñ  ham  bhī  rag-o-pai  rakhte  haiñ  insāf  bahattar  hai
na  khīñche  tāqat-e-ḳhamyāza  tohmat  nā-tavānī  kī
takalluf-bartaraf  farhād  aur  itnī  subukdastī
ḳhayāl  āsāñ  thā  lekin  ḳhvāb-e-ḳhusrav  ne  girānī  kī
pas-az-murdan  bhī  dīvāna  ziyārat-gāh-e-tiflāñ  hai
sharār-e-sañg  ne  turbat  pe  merī  gul-fishānī  kī
'asad'  ko  boriye  meñ  dhar  ke  phūñkā  mauj-e-hastī  ne
faqīrī  meñ  bhī  baaqī  hai  sharārat  naujavānī  kī