naala  juz  husn-e-talab  ai  sitam-ījād  nahīñ
hai  taqāzā-e-jafā  shikva-e-bedād  nahīñ
ishq-o-mazdūri-e-ishrat-gah-e-ḳhusruv  kyā  ḳhuub
ham  ko  taslīm  niko-nāmi-e-farhād  nahīñ
kam  nahīñ  vo  bhī  ḳharābī  meñ  pa  vus.at  mālūm
dasht  meñ  hai  mujhe  vo  aish  ki  ghar  yaad  nahīñ
ahl-e-bīnash  ko  hai  tūfān-e-havādis  maktab
lutma-e-mauj  kam-az  saili-e-ustād  nahīñ
vaa.e  mahrūmi-e-taslīm-o-badā  hāl-e-vafā
jāntā  hai  ki  hameñ  tāqat-e-faryād  nahīñ
rañg-e-tamkīn-e-gul-o-lālā  pareshāñ  kyuuñ  hai
gar  charāġhān-e-sar-e-rah-guzar-e-bād  nahīñ
sabad-e-gul  ke  tale  band  kare  hai  gulchīñ
muzhda  ai  murġh  ki  gulzār  meñ  sayyād  nahīñ
nafi  se  kartī  hai  isbāt  tarāvish  goyā
dī  hai  jā-e-dahn  us  ko  dam-e-ījād  nahīñ
kam  nahīñ  jalvagarī  meñ  tire  kūche  se  bahisht
yahī  naqsha  hai  vale  is  qadar  ābād  nahīñ
karte  kis  muñh  se  ho  ġhurbat  kī  shikāyat  'ġhālib'
tum  ko  be-mehri-e-yārān-e-vatan  yaad  nahīñ