manzūr  thī  ye  shakl  tajallī  ko  nuur  kī
qismat  khulī  tire  qad-o-ruḳh  se  zuhūr  kī
ik  ḳhūñ-chakāñ  kafan  meñ  karoḌoñ  banāo  haiñ
paḌtī  hai  aañkh  tere  shahīdoñ  pe  huur  kī
vaa.iz  na  tum  piyo  na  kisī  ko  pilā  sako
kyā  baat  hai  tumhārī  sharāb-e-tahūr  kī
laḌtā  hai  mujh  se  hashr  meñ  qātil  ki  kyuuñ  uThā
goyā  abhī  sunī  nahīñ  āvāz  suur  kī
aamad  bahār  kī  hai  jo  bulbul  hai  naġhma-sañj
uḌtī  sī  ik  ḳhabar  hai  zabānī  tuyūr  kī
go  vaañ  nahīñ  pa  vaañ  ke  nikāle  hue  to  haiñ
ka.abe  se  in  butoñ  ko  bhī  nisbat  hai  duur  kī
kyā  farz  hai  ki  sab  ko  mile  ek  sā  javāb
aao  na  ham  bhī  sair  kareñ  koh-e-tūr  kī
garmī  sahī  kalām  meñ  lekin  na  is  qadar
kī  jis  se  baat  us  ne  shikāyat  zarūr  kī
'ġhālib'  gar  is  safar  meñ  mujhe  saath  le  chaleñ
haj  kā  savāb  nazr  karūñgā  huzūr  kī