rone  se  aur  ishq  meñ  bebāk  ho  ga.e
dho.e  ga.e  ham  itne  ki  bas  paak  ho  ga.e
sarf-e-bahā-e-mai  hue  ālāt-e-mai-kashī
the  ye  hī  do  hisāb  so  yuuñ  paak  ho  ga.e
rusvā-e-dahr  go  hue  āvārgī  se  tum
baare  tabī.atoñ  ke  to  chālāk  ho  ga.e
kahtā  hai  kaun  nāla-e-bulbul  ko  be-asar
parde  meñ  gul  ke  laakh  jigar  chaak  ho  ga.e
pūchhe  hai  kyā  vajūd  o  adam  ahl-e-shauq  kā
aap  apnī  aag  ke  ḳhas-o-ḳhāshāk  ho  ga.e
karne  ga.e  the  us  se  taġhāful  kā  ham  gila
kī  ek  hī  nigāh  ki  bas  ḳhaak  ho  ga.e
is  rañg  se  uThā.ī  kal  us  ne  'asad'  kī  na.ash
dushman  bhī  jis  ko  dekh  ke  ġhamnāk  ho  ga.e