tere  tausan  ko  sabā  bāñdhte  haiñ
ham  bhī  mazmūñ  kī  havā  bāñdhte  haiñ
aah  kā  kis  ne  asar  dekhā  hai
ham  bhī  ek  apnī  havā  bāñdhte  haiñ
terī  fursat  ke  muqābil  ai  umr
barq  ko  pa-ba-hinā  bāñdhte  haiñ
qaid-e-hastī  se  rihā.ī  ma.alūm
ashk  ko  be-sar-o-pā  bāñdhte  haiñ
nashsha-e-rañg  se  hai  vāshud-e-gul
mast  kab  band-e-qabā  bāñdhte  haiñ
ġhalatī-hā-e-mazāmīñ  mat  pūchh
log  naale  ko  rasā  bāñdhte  haiñ
ahl-e-tadbīr  kī  vāmāndgiyāñ
ābloñ  par  bhī  hinā  bāñdhte  haiñ
saada  purkār  haiñ  ḳhūbāñ  'ġhālib'
ham  se  paimān-e-vafā  bāñdhte  haiñ
paañv  meñ  jab  vo  hinā  bāñdhte  haiñ
mere  hāthoñ  ko  judā  bāñdhte  haiñ
husn-e-afsurda-dil-hā-rañgīñ
shauq  ko  pā-ba-hinā  bāñdhte  haiñ
qaid  meñ  bhī  hai  asīrī  āzād
chashm-e-zanjīr  ko  vā  bāñdhte  haiñ
shaiḳh-jī  ka.abe  kā  jaanā  ma.alūm
aap  masjid  meñ  gadhā  bāñdhte  haiñ
kis  kā  dil  zulf  se  bhāgā  ki  'asad'
dast-e-shāna  ba-qazā  bāñdhte  haiñ
tere  bīmār  pe  haiñ  fariyādī
vo  jo  kāġhaz  meñ  davā  bāñdhte  haiñ