jis  jā  nasīm  shānā-kash-e-zulf-e-yār  hai
naafā  dimāġh-e-āhu-e-dasht-e-tatār  hai
kis  kā  surāġh  jalva  hai  hairat  ko  ai  ḳhudā
ā.īna  farsh-e-shash-jahat-e-intizār  hai
hai  zarra  zarra  tañgi-e-jā  se  ġhubār-e-shauq
gar  daam  ye  hai  vus.at-e-sahrā  shikār  hai
dil  mudda.ī  o  diida  banā  mudda.ā-alaih
nazzāre  kā  muqaddama  phir  rū-ba-kār  hai
chhiḌke  hai  shabnam  ā.īna-e-barg-e-gul  par  aab
ai  andalīb  vaqt-e-vadā-e-bahār  hai
pach  aa  paḌī  hai  vāda-e-dil-dār  kī  mujhe
vo  aa.e  yā  na  aa.e  pe  yaañ  intizār  hai
be-parda  sū-e-vādi-e-majnūñ  guzar  na  kar
har  zarra  ke  naqāb  meñ  dil  be-qarār  hai
ai  andalīb  yak  kaf-e-ḳhas  bahr-e-āshyāñ
tūfān-e-āmad  āmad-e-fasl-e-bahār  hai
dil  mat  gañvā  ḳhabar  na  sahī  sair  hī  sahī
ai  be-dimāġh  ā.īna  timsāl-dār  hai
ġhaflat  kafīl-e-umr  o  'asad'  zāmin-e-nashāt
ai  marg-e-nā-gahāñ  tujhe  kyā  intizār  hai