naved-e-amn  hai  bedād-e-dost  jaañ  ke  liye
rahī  na  tarz-e-sitam  koī  āsmāñ  ke  liye
balā  se  gar  mizha-e-yār  tishna-e-ḳhūñ  hai
rakhūñ  kuchh  apnī  bhī  mizhgān-e-ḳhūñ  fishāñ  ke  liye
vo  zinda  ham  haiñ  ki  haiñ  rū-shanās-e-ḳhalq  ai  ḳhizr
na  tum  ki  chor  bane  umr-e-jāvedāñ  ke  liye
rahā  balā  meñ  bhī  maiñ  mubtala-e-āfat-e-rashk
balā-e-jāñ  hai  adā  terī  ik  jahāñ  ke  liye
falak  na  duur  rakh  us  se  mujhe  ki  maiñ  hī  nahīñ
darāz-dasti-e-qātil  ke  imtihāñ  ke  liye
misāl  ye  mirī  koshish  kī  hai  ki  murġh-e-asīr
kare  qafas  meñ  farāham  ḳhas  āshiyāñ  ke  liye
gadā  samajh  ke  vo  chup  thā  mirī  jo  shāmat  aa.ī
uThā  aur  uTh  ke  qadam  maiñ  ne  pāsbāñ  ke  liye
ba-qadr-e-shauq  nahīñ  zarf-e-tangnā-e-ġhazal
kuchh  aur  chāhiye  vus.at  mire  bayāñ  ke  liye
diyā  hai  ḳhalq  ko  bhī  tā  use  nazar  na  lage
banā  hai  aish  tajammul  husain  ḳhaañ  ke  liye
zabāñ  pe  bār-e-ḳhudāyā  ye  kis  kā  naam  aayā
ki  mere  nutq  ne  bose  mirī  zabāñ  ke  liye
nasīr-e-daulat-o-dīñ  aur  muīn-e-millat-o-mulk
banā  hai  charḳh-e-barīñ  jis  ke  āstāñ  ke  liye
zamāna  ahd  meñ  us  ke  hai  mahv-e-ārā.ish
baneñge  aur  sitāre  ab  āsmāñ  ke  liye
varaq  tamām  huā  aur  mad.h  baaqī  hai
safīna  chāhiye  is  bahr-e-be-karāñ  ke  liye
adā-e-ḳhās  se  'ġhālib'  huā  hai  nukta-sarā
salā-e-ām  hai  yārān-e-nukta-dāñ  ke  liye