mahram  nahīñ  hai  tū  hī  navā-hā-e-rāz  kā
yaañ  varna  jo  hijāb  hai  parda  hai  saaz  kā
rañg-e-shikasta  sub.h-e-bahār-e-nazāra  hai
ye  vaqt  hai  shaguftan-e-gul-hā-e-nāz  kā
tū  aur  sū-e-ġhair  nazar-hā-e-tez  tez
maiñ  aur  dukh  tirī  mizha-hā-e-darāz  kā
sarfa  hai  zabt-e-āh  meñ  merā  vagarna  meñ
to.ama  huuñ  ek  hī  nafas-e-jāñ-gudāz  kā
haiñ  bas-ki  josh-e-bāda  se  shīshe  uchhal  rahe
har  gosha-e-bisāt  hai  sar  shīsha-bāz  kā
kāvish  kā  dil  kare  hai  taqāzā  ki  hai  hunūz
nāḳhun  pe  qarz  is  girah-e-nīm-bāz  kā
tārāj-e-kāvish-e-ġham-e-hijrāñ  huā  'asad'
siina  ki  thā  dafīna  gohar-hā-e-rāz  kā