be-e'tidāliyoñ  se  subuk  sab  meñ  ham  hue
jitne  ziyāda  ho  ga.e  utne  hī  kam  hue
pinhāñ  thā  daam  saḳht  qarīb  āshiyān  ke
uḌne  na  paa.e  the  ki  giraftār  ham  hue
hastī  hamārī  apnī  fanā  par  dalīl  hai
yaañ  tak  miTe  ki  aap  ham  apnī  qasam  hue
saḳhtī  kashān-e-ishq  kī  pūchhe  hai  kyā  ḳhabar
vo  log  rafta  rafta  sarāpā  alam  hue
terī  vafā  se  kyā  ho  talāfī  ki  dahr  meñ
tere  sivā  bhī  ham  pe  bahut  se  sitam  hue
likhte  rahe  junūñ  kī  hikāyāt-e-ḳhūñ-chakāñ
har-chand  is  meñ  haath  hamāre  qalam  hue
allāh  re  terī  tundi-e-ḳhū  jis  ke  biim  se
ajzā-e-nāla  dil  meñ  mire  rizq-e-ham  hue
ahl-e-havas  kī  fat.h  hai  tark-e-nabard-e-ishq
jo  paañv  uTh  ga.e  vahī  un  ke  alam  hue
naale  adam  meñ  chand  hamāre  supurd  the
jo  vaañ  na  khiñch  sake  so  vo  yaañ  aa  ke  dam  hue
chhoḌī  'asad'  na  ham  ne  gadā.ī  meñ  dil-lagī
saa.il  hue  to  āshiq-e-ahl-e-karam  hue