jahāñ  terā  naqsh-e-qadam  dekhte  haiñ
ḳhayābāñ  ḳhayābāñ  iram  dekhte  haiñ
dil-āshuftagāñ  ḳhāl-e-kunj-e-dahan  ke
suvaidā  meñ  sair-e-adam  dekhte  haiñ
tire  sarv-qāmat  se  ik  qadd-e-ādam
qayāmat  ke  fitne  ko  kam  dekhte  haiñ
tamāshā  ki  ai  mahv-e-ā.īna-dārī
tujhe  kis  tamannā  se  ham  dekhte  haiñ
surāġh-e-taf-e-nāla  le  dāġh-e-dil  se
ki  shab-rau  kā  naqsh-e-qadam  dekhte  haiñ
banā  kar  faqīroñ  kā  ham  bhes  'ġhālib'
tamāshā-e-ahl-e-karam  dekhte  haiñ
kisū  ko  za-ḳhud  rasta  kam  dekhte  haiñ
ki  aahū  ko  pāband-e-ram  dekhte  haiñ
ḳhat-e-laḳht-e-dil  yak-qalam  dekhte  haiñ
mizha  ko  javāhar  raqam  dekhte  haiñ