Mirza Ghalib

ek ek qatre ka mujhe dena paDa hisab

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ek ek qatre kā mujhe denā paḌā hisāb
ḳhūn-e-jigar vadī.at-e-mizhgān-e-yār thā
ab maiñ huuñ aur mātam-e-yak-shahr-ārazū
toḌā jo tū ne aa.ina timsāl-dār thā
galiyoñ meñ merī na.ash ko khīñche phiro ki maiñ
jāñ-dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār thā
mauj-e-sarāb-e-dasht-e-vafā kā na pūchh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-teġh āb-dār thā
kam jānte the ham bhī ġham-e-ishq ko par ab
dekhā to kam hue pa ġham-e-rozgār thā
kis kā junūn-e-dīd tamannā-shikār thā
ā.īna-ḳhāna vādī-e-jauhar-ġhubār thā
kis kā ḳhayāl ā.ina-e-intizār thā
har barg-e-gul ke parde meñ dil be-qarār thā
juuñ ġhuncha-o-gul āfat-e-fāl-e-nazar na pūchh
paikāñ se tere jalva-e-zaḳhm āshkār thā
dekhī vafā-e-fursat-e-rañj-o-nashāt-e-dahr
ḳhamyāza yak-darāzi-e-umr-e-ḳhumār thā
sub.h-e-qayāmat ek dum-e-gurg thī 'asad'
jis dasht meñ vo shoḳh-e-do-ālam shikār thā
Top Urdushayar.com