ek  ek  qatre  kā  mujhe  denā  paḌā  hisāb
ḳhūn-e-jigar  vadī.at-e-mizhgān-e-yār  thā
ab  maiñ  huuñ  aur  mātam-e-yak-shahr-ārazū
toḌā  jo  tū  ne  aa.ina  timsāl-dār  thā
galiyoñ  meñ  merī  na.ash  ko  khīñche  phiro  ki  maiñ
jāñ-dāda-e-havā-e-sar-e-rahguzār  thā
mauj-e-sarāb-e-dasht-e-vafā  kā  na  pūchh  haal
har  zarra  misl-e-jauhar-e-teġh  āb-dār  thā
kam  jānte  the  ham  bhī  ġham-e-ishq  ko  par  ab
dekhā  to  kam  hue  pa  ġham-e-rozgār  thā
kis  kā  junūn-e-dīd  tamannā-shikār  thā
ā.īna-ḳhāna  vādī-e-jauhar-ġhubār  thā
kis  kā  ḳhayāl  ā.ina-e-intizār  thā
har  barg-e-gul  ke  parde  meñ  dil  be-qarār  thā
juuñ  ġhuncha-o-gul  āfat-e-fāl-e-nazar  na  pūchh
paikāñ  se  tere  jalva-e-zaḳhm  āshkār  thā
dekhī  vafā-e-fursat-e-rañj-o-nashāt-e-dahr
ḳhamyāza  yak-darāzi-e-umr-e-ḳhumār  thā
sub.h-e-qayāmat  ek  dum-e-gurg  thī  'asad'
jis  dasht  meñ  vo  shoḳh-e-do-ālam  shikār  thā