ye  na  thī  hamārī  qismat  ki  visāl-e-yār  hotā
agar  aur  jiite  rahte  yahī  intizār  hotā
tire  va.ade  par  jiye  ham  to  ye  jaan  jhuuT  jaanā
ki  ḳhushī  se  mar  na  jaate  agar  e'tibār  hotā
tirī  nāzukī  se  jaanā  ki  bañdhā  thā  ahd  bodā
kabhī  tū  na  toḌ  saktā  agar  ustuvār  hotā
koī  mere  dil  se  pūchhe  tire  tīr-e-nīm-kash  ko
ye  ḳhalish  kahāñ  se  hotī  jo  jigar  ke  paar  hotā
ye  kahāñ  kī  dostī  hai  ki  bane  haiñ  dost  nāseh
koī  chārasāz  hotā  koī  ġham-gusār  hotā
rag-e-sañg  se  Tapaktā  vo  lahū  ki  phir  na  thamtā
jise  ġham  samajh  rahe  ho  ye  agar  sharār  hotā
ġham  agarche  jāñ-gusil  hai  pa  kahāñ  bacheñ  ki  dil  hai
ġham-e-ishq  gar  na  hotā  ġham-e-rozgār  hotā
kahūñ  kis  se  maiñ  ki  kyā  hai  shab-e-ġham  burī  balā  hai
mujhe  kyā  burā  thā  marnā  agar  ek  baar  hotā
hue  mar  ke  ham  jo  rusvā  hue  kyuuñ  na  ġharq-e-dariyā
na  kabhī  janāza  uThtā  na  kahīñ  mazār  hotā
use  kaun  dekh  saktā  ki  yagāna  hai  vo  yaktā
jo  duī  kī  bū  bhī  hotī  to  kahīñ  do-chār  hotā
ye  masā.il-e-tasavvuf  ye  tirā  bayān  'ġhālib'
tujhe  ham  valī  samajhte  jo  na  bāda-ḳhvār  hotā