ye  ham  jo  hijr  meñ  dīvār-o-dar  ko  dekhte  haiñ
kabhī  sabā  ko  kabhī  nāma-bar  ko  dekhte  haiñ
vo  aa.e  ghar  meñ  hamāre  ḳhudā  kī  qudrat  hai
kabhī  ham  un  ko  kabhī  apne  ghar  ko  dekhte  haiñ
nazar  lage  na  kahīñ  us  ke  dast-o-bāzū  ko
ye  log  kyuuñ  mire  zaḳhm-e-jigar  ko  dekhte  haiñ
tire  javāhīr-e-turf-e-kulah  ko  kyā  dekheñ
ham  auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar  ko  dekhte  haiñ