lab-e-ḳhushk  dar-tishnagī-murdagāñ  kā
ziyārat-kada  huuñ  dil-āzurdagāñ  kā
hama  nā-umīdī  hama  bad-gumānī
maiñ  dil  huuñ  fareb-e-vafā-ḳhurdagāñ  kā
shaguftan  kamīñ-gāh-e-taqrīb-jūī
tasavvur  huuñ  be-mojib  āzurdagāñ  kā
ġharīb-e-sitam-dīdah-e-bāz-gashtan
suḳhan  huuñ  suḳhan  bar  lab-āvurdagāñ  kā
sarāpā  yak-ā.īña-dār-e-shikastan
irāda  huuñ  yak-ālam-afsurdagāñ  kā
ba-sūrat  takalluf  ba-ma.anī  ta.assuf
'asad'  maiñ  tabassum  huuñ  pazhmurdagāñ  kā