huzūr-e-shāh  meñ  ahl-e-suḳhan  kī  āzmā.ish  hai
chaman  meñ  ḳhush-navāyan-e-chaman  kī  āzmā.ish  hai
qad  o  gesū  meñ  qais  o  kohkan  kī  āzmā.ish  hai
jahāñ  ham  haiñ  vahāñ  dār-o-rasan  kī  āzmā.ish  hai
kareñge  kohkan  ke  hausle  kā  imtihān  āḳhir
abhī  us  ḳhasta  ke  nerve  tan  kī  āzmā.ish  hai
nasīm-e-misr  ko  kyā  pīr-e-kan.āñ  kī  havā-ḳhvāhī
use  yūsuf  kī  bū-e-pairahan  kī  āzmā.ish  hai
vo  aayā  bazm  meñ  dekho  na  kahiyo  phir  ki  ġhāfil  the
shakeb-o-sabr-e-ahl-e-anjuman  kī  āzmā.ish  hai
rahe  dil  hī  meñ  tiir  achchhā  jigar  ke  paar  ho  behtar
ġharaz  shust-e-but-e-nāvak-fagan  kī  āzmā.ish  hai
nahīñ  kuchh  sub.ha-o-zunnār  ke  phande  meñ  gīrā.ī
vafādārī  meñ  shaiḳh  o  barhaman  kī  āzmā.ish  hai
paḌā  rah  ai  dil-e-vābasta  betābī  se  kyā  hāsil
magar  phir  tāb-e-zulf-e-pur-shikan  kī  āzmā.ish  hai
rag-o-pai  meñ  jab  utre  zahr-e-ġham  tab  dekhiye  kyā  ho
abhī  to  talḳhī-e-kām-o-dahan  kī  āzmā.ish  hai
vo  āveñge  mire  ghar  va.ada  kaisā  dekhnā  'ġhālib'
na.e  fitnoñ  meñ  ab  charḳh-e-kuhan  kī  āzmā.ish  hai