sab  kahāñ  kuchh  lāla-o-gul  meñ  numāyāñ  ho  ga.iiñ
ḳhaak  meñ  kyā  sūrateñ  hoñgī  ki  pinhāñ  ho  ga.iiñ
yaad  thiiñ  ham  ko  bhī  rañgā-rañg  bazm-ārā.īyāñ
lekin  ab  naqsh-o-nigār-e-tāq-e-nisyāñ  ho  ga.iiñ
thiiñ  banāt-un-nāsh-e-gardūñ  din  ko  parde  meñ  nihāñ
shab  ko  un  ke  jī  meñ  kyā  aa.ī  ki  uryāñ  ho  ga.iiñ
qaid  meñ  yāqūb  ne  lī  go  na  yūsuf  kī  ḳhabar
lekin  āñkheñ  rauzan-e-dīvār-e-zindāñ  ho  ga.iiñ
sab  raqīboñ  se  hoñ  nā-ḳhush  par  zanān-e-misr  se
hai  zuleḳhā  ḳhush  ki  mahv-e-māh-e-kan.āñ  ho  ga.iiñ
jū-e-ḳhūñ  āñkhoñ  se  bahne  do  ki  hai  shām-e-firāq
maiñ  ye  samjhūñgā  ki  sham.eñ  do  farozāñ  ho  ga.iiñ
in  parī-zādoñ  se  leñge  ḳhuld  meñ  ham  intiqām
qudrat-e-haq  se  yahī  hūreñ  agar  vaañ  ho  ga.iiñ
niiñd  us  kī  hai  dimāġh  us  kā  hai  rāteñ  us  kī  haiñ
terī  zulfeñ  jis  ke  baazū  par  pareshāñ  ho  ga.iiñ
maiñ  chaman  meñ  kyā  gayā  goyā  dabistāñ  khul  gayā
bulbuleñ  sun  kar  mire  naale  ġhazal-ḳhvāñ  ho  ga.iiñ
vo  nigāheñ  kyuuñ  huī  jaatī  haiñ  yā-rab  dil  ke  paar
jo  mirī  kotāhī-e-qismat  se  mizhgāñ  ho  ga.iiñ
bas-ki  rokā  maiñ  ne  aur  siine  meñ  ubhrīñ  pai-ba-pai
merī  aaheñ  baḳhiya-e-chāk-e-garebāñ  ho  ga.iiñ
vaañ  gayā  bhī  maiñ  to  un  kī  gāliyoñ  kā  kyā  javāb
yaad  thiiñ  jitnī  duā.eñ  sarf-e-darbāñ  ho  ga.iiñ
jāñ-fizā  hai  baada  jis  ke  haath  meñ  jaam  aa  gayā
sab  lakīreñ  haath  kī  goyā  rag-e-jāñ  ho  ga.iiñ
ham  muvahhid  haiñ  hamārā  kesh  hai  tark-e-rūsūm
millateñ  jab  miT  ga.iiñ  ajzā-e-īmāñ  ho  ga.iiñ
rañj  se  ḳhūgar  huā  insāñ  to  miT  jaatā  hai  rañj
mushkileñ  mujh  par  paḌīñ  itnī  ki  āsāñ  ho  ga.iiñ
yuuñ  hī  gar  rotā  rahā  'ġhālib'  to  ai  ahl-e-jahāñ
dekhnā  in  bastiyoñ  ko  tum  ki  vīrāñ  ho  ga.iiñ