junūñ  kī  dast-gīrī  kis  se  ho  gar  ho  na  uryānī
garebāñ-chāk  kā  haq  ho  gayā  hai  merī  gardan  par
ba-rañg-e-kāġhaz-e-ātish-zada  nairañg-e-betābī
hazār  ā.īna  dil  bāñdhe  hai  bāl-e-yak-tapīdan  par
falak  se  ham  ko  aish-e-rafta  kā  kyā  kyā  taqāzā  hai
matā-e-burda  ko  samjhe  hue  haiñ  qarz  rahzan  par
ham  aur  vo  be-sabab  rañj-āshnā  dushman  ki  rakhtā  hai
shuā-e-mehr  se  tohmat  nigah  kī  chashm-e-rauzan  par
fanā  ko  sauñp  gar  mushtāq  hai  apnī  haqīqat  kā
faroġh-e-tāla-e-ḳhāshāk  hai  mauqūf  gulḳhan  par
'asad'  bismil  hai  kis  andāz  kā  qātil  se  kahtā  hai
ki  mashq-e-nāz  kar  ḳhūn-e-do-ālam  merī  gardan  par
fusūn-e-yak-dilī  hai  lazzat-e-bedād  dushman  par
ki  vajd-e-barq  juuñ  parvāna  bāl-afshāñ  hai  ḳhirman  par
takalluf  ḳhār-ḳhār-e-iltimās-e-be-qarārī  hai
ki  rishta  bāñdhtā  hai  pairahan  añgusht-e-sozan  par
ye  kyā  vahshat  hai  ai  dīvāne  pesh-az-marg  vāvailā
rakkhī  be-jā  binā-e-ḳhāna-e-zanjīr-e-shevan  par