bazm-e-shāhanshāh  meñ  ash.ār  kā  daftar  khulā
rakhiyo  yā  rab  ye  dar-e-ganjīna-e-gauhar  khulā
shab  huī  phir  anjuman-e-raḳhshanda  kā  manzar  khulā
is  takalluf  se  ki  goyā  but-kade  kā  dar  khulā
garche  huuñ  dīvāna  par  kyuuñ  dost  kā  khā.ūñ  fareb
āstīñ  meñ  dashna  pinhāñ  haath  meñ  nashtar  khulā
go  na  samjhūñ  us  kī  bāteñ  go  na  pā.ūñ  us  kā  bhed
par  ye  kyā  kam  hai  ki  mujh  se  vo  parī-paikar  khulā
hai  ḳhayāl-e-husn  meñ  husn-e-amal  kā  sā  ḳhayāl
ḳhuld  kā  ik  dar  hai  merī  gor  ke  andar  khulā
muñh  na  khulne  par  hai  vo  aalam  ki  dekhā  hī  nahīñ
zulf  se  baḌh  kar  naqāb  us  shoḳh  ke  muñh  par  khulā
dar  pe  rahne  ko  kahā  aur  kah  ke  kaisā  phir  gayā
jitne  arse  meñ  mirā  lipTā  huā  bistar  khulā
kyuuñ  añdherī  hai  shab-e-ġham  hai  balāoñ  kā  nuzūl
aaj  udhar  hī  ko  rahegā  dīda-e-aḳhtar  khulā
kyā  rahūñ  ġhurbat  meñ  ḳhush  jab  ho  havādis  kā  ye  haal
naama  laatā  hai  vatan  se  nāma-bar  aksar  khulā
us  kī  ummat  meñ  huuñ  maiñ  mere  raheñ  kyuuñ  kaam  band
vāste  jis  shah  ke  'ġhālib'  gumbad-e-be-dar  khulā