mirī  hastī  fazā-e-hairat  ābād-e-tamannā  hai
jise  kahte  haiñ  naala  vo  usī  aalam  kā  anqā  hai
ḳhizāñ  kyā  fasl-e-gul  kahte  haiñ  kis  ko  koī  mausam  ho
vahī  ham  haiñ  qafas  hai  aur  mātam  bāl-o-par  kā  hai
vafā-e-dilbarāñ  hai  ittifāqī  varna  ai  hamdam
asar  fariyād-e-dil-hā-e-hazīñ  kā  kis  ne  dekhā  hai
na  laa.ī  shoḳhi-e-andesha  tāb-e-rañj-e-naumīdī
kaf-e-afsos  milnā  ahd-e-tajdīd-e-tamannā  hai
na  sove  ābloñ  meñ  gar  sirishk-e-dīda-e-nam  se
ba-jaulāñ-gāh-e-naumīdī  nigāh-e-ājizāñ  pā  hai
ba-saḳhtī-hā-e-qaid-e-zindagī  mālūm  āzādī
sharar  bhī  said-e-dām-e-rishta-e-rag-hā-e-ḳhārā  hai
taġhāful-mashrabī  se  nā-tamāmī  bas-ki  paidā  hai
nigāh-e-nāz  chashm-e-yār  meñ  zunnār-e-mīnā  hai
tasarruf  vahshiyoñ  meñ  hai  tasavvur-hā-e-majnūñ  kā
savād-e-chashm-e-āhū  aks-e-ḳhāl-e-rū-e-lailā  hai
mohabbat  tarz-e-paivand-e-nihāl-e-dostī  jaane
davīdan  resha  saañ  muft-e-rag-e-ḳhvāb-e-zuleḳhā  hai
kiyā  yak-sar  gudāz-e-dil  niyāz-e-joshish-e-hasrat
suvaidā  nusḳha-e-tah-bandi-e-dāġh-e-tamannā  hai
hujūm-e-rezish-e-ḳhūñ  ke  sabab  rañg  uḌ  nahīñ  saktā
hinā-e-panja-e-saiyyād  murġh-e-rishta  bar-pā  hai
asar  soz-e-mohabbat  kā  qayāmat  be-muhābā  hai
ki  rag  se  sañg  meñ  tuḳhm-e-sharar  kā  resha  paidā  hai
nihāñ  hai  gauhar-e-maqsūd  jeb-e-ḳhud-shanāsī  meñ
ki  yaañ  ġhavvās  hai  timsāl  aur  ā.īna  dariyā  hai
azīzo  zikr-e-vasl-e-ġhair  se  mujh  ko  na  bahlāo
ki  yaañ  afsūn-e-ḳhvāb  afsāna-e-ḳhvāb-e-zulaiḳhā  hai
tasavvur  bahr-e-taskīn-e-tapīdan-hā-e-tifl-e-dil
ba-bāġh-e-rañg-hā-e-rafta  gul-chīn-e-tamāshā  hai
ba-sa.i-e-ġhair  hai  qat-e-libās-e-ḳhāna-vīrānī
ki  nāz-e-jāda-e-rah  rishta-e-dāmān-e-sahrā  hai