koī  din  gar  zindagānī  aur  hai
apne  jī  meñ  ham  ne  Thānī  aur  hai
ātish-e-dozaḳh  meñ  ye  garmī  kahāñ
soz-e-ġham-hā-e-nihānī  aur  hai
bār-hā  dekhī  haiñ  un  kī  ranjisheñ
par  kuchh  ab  ke  sargirānī  aur  hai
de  ke  ḳhat  muñh  dekhtā  hai  nāma-bar
kuchh  to  paiġhām-e-zabānī  aur  hai
qāta-e-emār  hai  aksar  nujūm
vo  balā-e-āsmānī  aur  hai
ho  chukīñ  'ġhālib'  balā.eñ  sab  tamām
ek  marg-e-nā-gahānī  aur  hai