phir  kuchh  ik  dil  ko  be-qarārī  hai
siina  juyā-e-zaḳhm-e-kārī  hai
phir  jigar  khodne  lagā  nāḳhun
āmad-e-fasl-e-lāla-kārī  hai
qibala-e-maqsad-e-nigāh-e-niyāz
phir  vahī  parda-e-amārī  hai
chashm  dallāl-e-jins-e-rusvā.ī
dil  ḳharīdār-e-zauq-e-ḳhvārī  hai
vahī  sad-rañg  nāla-farsā.ī
vahī  sad-gona  ashk-bārī  hai
dil  havā-e-ḳhirām-e-nāz  se  phir
mahsharistān-e-be-qarārī  hai
jalva  phir  arz-e-nāz  kartā  hai
roz  bāzār-e-jāñ-sipārī  hai
phir  usī  bevafā  pe  marte  haiñ
phir  vahī  zindagī  hamārī  hai
phir  khulā  hai  dar-e-adālat-e-nāz
garm-bāzār-e-faujdārī  hai
ho  rahā  hai  jahān  meñ  andher
zulf  kī  phir  sirishta-dārī  hai
phir  diyā  pāra-e-jigar  ne  savāl
ek  fariyād  o  āh-o-zārī  hai
phir  hue  haiñ  gavāh-e-ishq  talab
ashk-bārī  kā  hukm-jārī  hai
dil  o  mizhgāñ  kā  jo  muqaddama  thā
aaj  phir  us  kī  rū-bakārī  hai
be-ḳhudī  be-sabab  nahīñ  'ġhālib'
kuchh  to  hai  jis  kī  parda-dārī  hai