na  hogā  yak-bayābāñ  māñdgī  se  zauq  kam  merā
habāb-e-mauja-e-raftār  hai  naqsh-e-qadam  merā
mohabbat  thī  chaman  se  lekin  ab  ye  be-dimāġhī  hai
ki  mauj-e-bū-e-gul  se  naak  meñ  aatā  hai  dam  merā
rah-e-ḳhvābīda  thī  gardan-kash-e-yak-dars-e-āgāhī
zamīñ  ko  saili-e-ustād  hai  naqsh-e-qadam  merā
surāġh-āvāra-e-arz-e-do-ālam  shor-e-mahshar  huuñ
par-afshāñ  hai  ġhubār  aañ  sū-e-sahrā-e-adam  merā
havā-e-sub.h  yak-ālam  garebāñ  chākī-e-gul  hai
dahān-e-zaḳhm  paidā  kar  agar  khātā  hai  ġham  merā
na  ho  vahshat-kash-e-dars-e-sarāb-e-satr-e-āgāhī
maiñ  gard-e-rāh  huuñ  be-mudda.ā  hai  pech-o-ḳham  merā
'asad'  vahshat-parast-e-gosha-e-tanhā.i-e-dil  hai
ba-rañg-e-mauj-e-mai  ḳhamyāza-e-sāġhar  hai  ram  merā