nahīñ  hai  zaḳhm  koī  baḳhiye  ke  dar-ḳhur  mire  tan  meñ
huā  hai  tār-e-ashk-e-yās  rishta  chashm-e-sozan  meñ
huī  hai  māne-e-zauq-e-tamāshā  ḳhāna-vīrānī
kaf-e-sailāb  baaqī  hai  ba-rañg-e-pumba  rauzan  meñ
vadī.at-ḳhāna-e-bedād-e-kāvish-hā-e-mizhgāñ  huuñ
nagīn-e-nām-e-shāhid  hai  mire  har  qatra-e-ḳhūñ  tan  meñ
bayāñ  kis  se  ho  zulmat-gustarī  mere  shabistāñ  kī
shab-e-mah  ho  jo  rakh  duuñ  pamba  dīvāroñ  ke  rauzan  meñ
nikohish  māna-e-be-rabti-e-shor-e-junūñ  aa.ī
huā  hai  ḳhanda-e-ahbāb  baḳhiya  jeb-o-dāman  meñ
hue  us  mehr-vash  ke  jalva-e-timsāl  ke  aage
par-afshāñ  jauhar  ā.īne  meñ  misl-e-zarra  rauzan  meñ
na  jānūñ  nek  huuñ  yā  bad  huuñ  par  sohbat-muḳhālif  hai
jo  gul  huuñ  to  huuñ  gulḳhan  meñ  jo  ḳhas  huuñ  to  huuñ  gulshan  meñ
hazāroñ  dil  diye  josh-e-junūn-e-ishq  ne  mujh  ko
siyah  ho  kar  suvaidā  ho  gayā  har  qatra-e-ḳhūñ  tan  meñ
'asad'  zindāni-e-tāsīr-e-ulfat-hā-e-ḳhūbāñ  huuñ
ḳham-e-dast-e-navāzish  ho  gayā  hai  tauq  gardan  meñ
fuzūñ  kī  dostoñ  ne  hirs-e-qātil  zauq-e-kushtan  meñ
ho.e  haiñ  baḳhiya-hā-e-zaḳhm  jauhar  teġh-e-dushman  meñ
tamāshā  kardanī  hai  lutf-e-zaḳhm-e-intizār  ai  dil
suvaidā  dāġh-e-marham  mardumuk  hai  chashm-e-sozan  meñ
dil-o-dīn-o-ḳhirad  tārāj-e-nāz-e-jalva-pairā.ī
huā  hai  jauhar-e-ā.īna  ḳhel-e-mor  ḳhirman  meñ
nikohish  māne-e-dīvāngī-hā-e-junūñ  aa.ī
lagāyā  ḳhanda-e-nāseh  ne  baḳhiya  jeb-o-dāman  meñ