kahte  ho  na  deñge  ham  dil  agar  paḌā  paayā
dil  kahāñ  ki  gum  kiije  ham  ne  mudda.ā  paayā
ishq  se  tabī.at  ne  ziist  kā  mazā  paayā
dard  kī  davā  paa.ī  dard-e-be-davā  paayā
dost-dār-e-dushman  hai  e'timād-e-dil  ma.alūm
aah  be-asar  dekhī  naala  nā-rasā  paayā
sādgī  o  purkārī  be-ḳhudī  o  hushyārī
husn  ko  taġhāful  meñ  jur.at-āzmā  paayā
ġhuncha  phir  lagā  khilne  aaj  ham  ne  apnā  dil
ḳhuuñ  kiyā  huā  dekhā  gum  kiyā  huā  paayā
hāl-e-dil  nahīñ  ma.alūm  lekin  is  qadar  ya.anī
ham  ne  bār-hā  DhūñDā  tum  ne  bār-hā  paayā
shor-e-pand-e-nāseh  ne  zaḳhm  par  namak  chhiḌkā
aap  se  koī  pūchhe  tum  ne  kyā  mazā  paayā
hai  kahāñ  tamannā  kā  dūsrā  qadam  yā  rab
ham  ne  dasht-e-imkāñ  ko  ek  naqsh-e-pā  paayā
be-dimāġh-e-ḳhajlat  huuñ  rashk-e-imtihāñ  tā-kai
ek  bekasī  tujh  ko  ālam-āshnā  paayā
ḳhāk-bāzi-e-ummīd  kār-ḳhāna-e-tiflī
yaas  ko  do-ālam  se  lab-ba-ḳhanda  vā  paayā
kyuuñ  na  vahshat-e-ġhālib  bāj-ḳhvāh-e-taskīñ  ho
kushta-e-taġhāful  ko  ḳhasm-e-ḳhūñ-bahā  paayā
fikr-e-nāla  meñ  goyā  halqa  huuñ  ze-sar-tā-pā
uzv  uzv  juuñ  zanjīr  yak-dil-e-sadā  paayā
shab  nazāra-parvar  thā  ḳhvāb  meñ  ḳhayāl  us  kā
sub.h  mauja-e-gul  ko  naqsh-e-boriyā  paayā
jis  qadar  jigar  ḳhuuñ  ho  kūcha  dādan-e-gul  hai
zaḳhm-e-teġh-e-qātil  ko  turfa  dil-kushā  paayā
hai  makīñ  kī  pā-dārī  nām-e-sāhib-e-ḳhāna
ham  se  tere  kūche  ne  naqsh-e-mudda.ā  paayā
ne  'asad'  jafā-sā.il  ne  sitam  junūñ-mā.il
tujh  ko  jis  qadar  DhūñDā  ulfat-āzmā  paayā