pā-ba-dāman  ho  rahā  huuñ  bas-ki  maiñ  sahrā-navard
ḳhār-e-pā  haiñ  jauhar-e-ā.īna-e-zānū  mujhe
dekhnā  hālat  mire  dil  kī  ham-āġhoshī  ke  vaqt
hai  nigāh-e-āshnā  terā  sar-e-har-mū  mujhe
huuñ  sarāpā  sāz-e-āhañg-e-shikāyat  kuchh  na  pūchh
hai  yahī  behtar  ki  logoñ  meñ  na  chheḌe  tū  mujhe
bā.is-e-vāmāndgī  hai  umr-e-fursat-jū  mujhe
kar  diyā  hai  pā-ba-zanjīr-e-ram-e-āhū  mujhe
ḳhāk-e-fursat  bar-sar-e-zauq-e-fanā  ai  intizār
hai  ġhubār-e-shīsha-e-sā.at  ram-e-āhū  mujhe
ham-zabāñ  aayā  nazar  fikr-e-suḳhan  meñ  tū  mujhe
mardumuk  hai  tūtī-e-ā.īna-e-zānū  mujhe
yād-e-mizhgāñ  meñ  ba-nashtar-e-zār-e-saudā-e-ḳhayāl
chāhiye  vaqt-e-tapish  yak-dast  sad-pahlū  mujhe
iztirāb-e-umr  be-matlab  nahīñ  āḳhir  ki  hai
justujū-e-fursat-e-rabt-e-sar-e-zānū  mujhe
chāhiye  darmān-e-rīsh-e-dil  bhī  teġh-e-yār  se
maram-e-zañgār  hai  vo  vasma-e-abrū  mujhe
kasrat-e-jaur-o-sitam  se  ho  gayā  huuñ  be-dimāġh
ḳhūb-rūyoñ  ne  banāyā  'ġhālib'-e-bad-ḳhū  mujhe
fursat-e-ārām-e-ġhash  hastī  hai  bohrān-e-adam
hai  shikast-e-rañg-e-imkāñ  gardish-e-pahlū  mujhe
sāz-e-īmā-e-fanā  hai  ālam-e-pīrī  'asad'
qāmat-e-ḳham  se  hai  hāsil  shoḳhī-e-abrū  mujhe