mat  mardumak-e-dīda  meñ  samjho  ye  nigāheñ
haiñ  jam.a  suvaidā-e-dil-e-chashm  meñ  aaheñ
kis  dil  pe  hai  azm-e-saf-e-mizhgān-e-ḳhud-ārā
ā.īne  ke  pāyāb  se  utrī  haiñ  sipāheñ
dair-o-haram  ā.īna-e-takrār-e-tamannā
vāmāñdagī-e-shauq  tarāshe  hai  panāheñ
juuñ  mardumak-e-chashm  se  hoñ  jam.a  nigāheñ
ḳhvābīda  ba-hairat-kada-e-dāġh  haiñ  aaheñ
phir  halqa-e-kākul  meñ  paḌīñ  diid  kī  rāheñ
juuñ  duud  farāham  huiiñ  rauzan  meñ  nigāheñ
paayā  sar-e-har-zarra  jigar-gosha-e-vahshat
haiñ  daaġh  se  ma.amūr  shaqā.iq  kī  kulāheñ
ye  matl.a  'asad'  jauhar-e-afsūn-e-suḳhan  ho
gar  arz-e-tapāk-e-jigar-e-soḳhta  chāheñ
hairat-kash-e-yak-jalva-e-ma.anī  haiñ  nigāheñ
khīñchūñ  huuñ  suvaidā-e-dil-e-chashm  se  aa.heñ