kyā  tañg  ham  sitam-zadagāñ  kā  jahān  hai
jis  meñ  ki  ek  baiza-e-mor  āsmān  hai
hai  kā.enāt  ko  harakat  tere  zauq  se
partav  se  āftāb  ke  zarre  meñ  jaan  hai
hālāñki  hai  ye  sīli-e-ḳhārā  se  laala  rañg
ġhāfil  ko  mere  shīshe  pe  mai  kā  gumān  hai
kī  us  ne  garm  sīna-e-ahl-e-havas  meñ  jā
aave  na  kyuuñ  pasand  ki  ThanDā  makān  hai
kyā  ḳhuub  tum  ne  ġhair  ko  bosa  nahīñ  diyā
bas  chup  raho  hamāre  bhī  muñh  meñ  zabān  hai
baiThā  hai  jo  ki  sāya-e-dīvār-e-yār  meñ
farmāñ-ravā-e-kishvar-e-hindūstān  hai
hastī  kā  e'tibār  bhī  ġham  ne  miTā  diyā
kis  se  kahūñ  ki  daaġh  jigar  kā  nishān  hai
hai  baare  e'timād-e-vafā-dārī  is  qadar
'ġhālib'  ham  is  meñ  ḳhush  haiñ  ki  nā-mehrbān  hai
dehlī  ke  rahne  vaalo  'asad'  ko  satāo  mat
be-chāra  chand  roz  kā  yaañ  mehmān  hai