husn  ġhamze  kī  kashākash  se  chhuTā  mere  ba.ad
baare  ārām  se  haiñ  ahl-e-jafā  mere  ba.ad
mansab-e-sheftagī  ke  koī  qābil  na  rahā
huī  māzūli-e-andāz-o-adā  mere  ba.ad
sham.a  bujhtī  hai  to  us  meñ  se  dhuāñ  uThtā  hai
sho.ala-e-ishq  siyah-posh  huā  mere  ba.ad
ḳhuuñ  hai  dil  ḳhaak  meñ  ahvāl-e-butāñ  par  ya.anī
un  ke  nāḳhun  hue  mohatāj-e-hinā  mere  ba.ad
dar-ḳhur-e-arz  nahīñ  jauhar-e-bedād  ko  jā
nigah-e-nāz  hai  surme  se  ḳhafā  mere  ba.ad
hai  junūñ  ahl-e-junūñ  ke  liye  āġhosh-e-vidā.a
chaak  hotā  hai  garebāñ  se  judā  mere  ba.ad
kaun  hotā  hai  harīf-e-mai-e-mard-afgan-e-ishq
hai  mukarrar  lab-e-sāqī  pe  salā  mere  ba.ad
ġham  se  martā  huuñ  ki  itnā  nahīñ  duniyā  meñ  koī
ki  kare  tāzīyat-e-mehr-o-vafā  mere  ba.ad
aa.e  hai  bekasī-e-ishq  pe  ronā  'ġhālib'
kis  ke  ghar  jā.egā  sailāb-e-balā  mere  ba.ad
thī  nigah  merī  nihāñ-ḳhāna-e-dil  kī  naqqāb
be-ḳhatar  jiite  haiñ  arbāb-e-riyā  mere  ba.ad
thā  maiñ  guldasta-e-ahbāb  kī  bandish  kī  giyāh
mutafarriq  hue  mere  rufaqā  mere  ba.ad