Mirza Ghalib

ishq mujhko nahin wahshat hi sahi

Mirza Ghalib

Agra, Uttar pradesh, India

1797-1869
ishq mujh ko nahīñ vahshat hī sahī
merī vahshat tirī shohrat hī sahī
qat.a kiije na ta.alluq ham se
kuchh nahīñ hai to adāvat hī sahī
mere hone meñ hai kyā rusvā.ī
ai vo majlis nahīñ ḳhalvat hī sahī
ham bhī dushman to nahīñ haiñ apne
ġhair ko tujh se mohabbat hī sahī
apnī hastī hī se ho jo kuchh ho
āgahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī
umr har-chand ki hai barq-e-ḳhirām
dil ke ḳhuuñ karne kī fursat hī sahī
ham koī tark-e-vafā karte haiñ
na sahī ishq musībat hī sahī
kuchh to de ai falak-e-nā-insāf
aah o fariyād kī ruḳhsat hī sahī
ham bhī taslīm kī ḳhū Dāleñge
be-niyāzī tirī aadat hī sahī
yaar se chheḌ chalī jaa.e 'asad'
gar nahīñ vasl to hasrat hī sahī
Top Urdushayar.com