nafas  na  anjuman-e-ārzū  se  bāhar  khīñch
agar  sharāb  nahīñ  intizār-e-sāġhar  khīñch
kamāl-e-garmī-e-sa.ī-e-talāsh-e-dīd  na  pūchh
ba-rañg-e-ḳhār  mire  aa.ine  se  jauhar  khīñch
tujhe  bahāna-e-rāhat  hai  intizār  ai  dil
kiyā  hai  kis  ne  ishārā  ki  nāz-e-bistar  khīñch
tirī  taraf  hai  ba-hasrat  nazāra-e-nargis
ba-korī-e-dil-o-chashm-e-raqīb  sāġhar  khīñch
ba-nīm-ġhamza  adā  kar  haq-e-vadī.at-e-nāz
niyām-e-parda-e-zaḳhm-e-jigar  se  ḳhanjar  khīñch
mire  qadah  meñ  hai  sahbā-e-ātish-e-pinhāñ
ba-rū-e-sufra  kabāb-e-dil-e-samandar  khīñch
na  kah  ki  tāqat-e-rusvā.ī-e-visāl  nahīñ
agar  yahī  araq-e-fitna  hai  mukarrar  khīñch
junūn-e-ā.ina  mushtāq-e-yak-tamāshā  hai
hamāre  safhe  pe  bāl-e-parī  se  mistar  khīñch
ḳhumār-e-minnat-e-sāqī  agar  yahī  hai  'asad'
Dil-e-gudāḳhta  ke  mai-kade  meñ  sāġhar  khīñch