jis  bazm  meñ  tū  naaz  se  guftār  meñ  aave
jaañ  kālbad-e-sūrat-e-dīvār  meñ  aave
saa.e  kī  tarah  saath  phireñ  sarv  o  sanobar
tū  is  qad-e-dilkash  se  jo  gulzār  meñ  aave
tab  nāz-e-girāñ  mā.igi-e-ashk  bajā  hai
jab  laḳht-e-jigar  dīda-e-ḳhūñ-bār  meñ  aave
de  mujh  ko  shikāyat  kī  ijāzat  ki  sitamgar
kuchh  tujh  ko  mazā  bhī  mire  āzār  meñ  aave
us  chashm-e-fusūñ-gar  kā  agar  paa.e  ishāra
tuutī  kī  tarah  ā.īna  guftār  meñ  aave
kāñToñ  kī  zabāñ  suukh  ga.ī  pyaas  se  yā  rab
ik  ābla-pā  vādi-e-pur-ḳhār  meñ  aave
mar  jā.ūñ  na  kyuuñ  rashk  se  jab  vo  tan-e-nāzuk
āġhosh-e-ḳham-e-halqa-e-zunnār  meñ  aave
ġhārat-gari-e-nāmūsh  na  ho  gar  havas-e-zar
kyuuñ  shāhid-e-gul  baaġh  se  bāzār  meñ  aave
tab  chāk-e-garebāñ  kā  mazā  hai  dil-e-nālāñ
jab  ik  nafas  uljhā  huā  har  taar  meñ  aave
ātish-kada  hai  siina  mirā  rāz-e-nihāñ  se
ai  vaa.e  agar  māriz-e-iz.hār  meñ  aave
ganjīna-e-ma.anī  kā  tilism  us  ko  samajhiye
jo  lafz  ki  'ġhālib'  mire  ash.ār  meñ  aave