shabnam  ba-gul-e-lāla  na  ḳhālī  z-adā  hai
dāġh-e-dil-e-bedard  nazar-gāh-e-hayā  hai
dil  ḳhūñ-shuda-e-kashmakash-e-hasrat-e-dīdār
ā.īna  ba-dast-e-but-e-bad-mast  hinā  hai
shole  se  na  hotī  havas-e-shola  ne  jo  kī
jī  kis  qadar  afsurdagi-e-dil  pe  jalā  hai
timsāl  meñ  terī  hai  vo  shoḳhī  ki  ba-sad-zauq
ā.īna  ba-andāz-e-gul  āġhosh-kushā  hai
qumrī  kaf-e-ḳhākistar  o  bulbul  qafas-e-rañg
ai  naala  nishān-e-jigar-e-soḳhta  kyā  hai
ḳhū  ne  tirī  afsurda  kiyā  vahshat-e-dil  ko
māshūqī  o  be-hauslagī  tarfa  balā  hai
majbūrī  o  dāvā-e-giraftāri-e-ulfat
dast-e-tah-e-sañg-āmda  paimān-e-vafā  hai
mālūm  huā  hāl-e-shahīdān-e-guzashta
teġh-e-sitam  ā.īna-e-tasvīr-numā  hai
ai  partav-e-ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb  idhar  bhī
saa.e  kī  tarah  ham  pe  ajab  vaqt  paḌā  hai
nā-karda  gunāhoñ  kī  bhī  hasrat  kī  mile  daad
yā  rab  agar  in  karda  gunāhoñ  kī  sazā  hai
begānagī-e-ḳhalq  se  be-dil  na  ho  'ġhālib'
koī  nahīñ  terā  to  mirī  jaan  ḳhudā  hai