ham  se  khul  jaao  ba-vaqt-e-mai-parastī  ek  din
varna  ham  chheḌeñge  rakh  kar  uzr-e-mastī  ek  din
ġharra-e-auj-e-binā-e-ālam-e-imkāñ  na  ho
is  bulandī  ke  nasīboñ  meñ  hai  pastī  ek  din
qarz  kī  piite  the  mai  lekin  samajhte  the  ki  haañ
rañg  lāvegī  hamārī  fāqa-mastī  ek  din
naġhma-hā-e-ġham  ko  bhī  ai  dil  ġhanīmat  jāniye
be-sadā  ho  jā.egā  ye  sāz-e-hastī  ek  din
dhaul-dhappā  us  sarāpā-nāz  kā  sheva  nahīñ
ham  hī  kar  baiThe  the  'ġhālib'  pesh-dastī  ek  din