gulshan  meñ  bandobast  ba-rañg-e-digar  hai  aaj
qumrī  kā  tauq  halqa-e-bairūn-e-dar  hai  aaj
aatā  hai  ek  pāra-e-dil  har  fuġhāñ  ke  saath
tār-e-nafas  kamand-e-shikār-e-asar  hai  aaj
ai  āfiyat  kināra  kar  ai  intizām  chal
sailāb-e-girya  darpai-e-dīvār-o-dar  hai  aaj
ma.azūlī-e-tapish  huī  ifrāt-e-intizār
chashm-e-kushāda  halqa-e-bairūn-e-dar  hai  aaj
hairat-farosh-e-sad-nigarānī  hai  iztirār
sar-rishta  chāk-e-jeb  kā  tār-e-nazar  hai  aaj
huuñ  dāġh-e-nīm-rañgī-e-shām-e-visāl-e-yār
nūr-e-charāġh-e-bazm  se  josh-e-sahar  hai  aaj
kartī  hai  ājizī-e-safar  soḳhtan  tamām
pairāhan-e-ḳhasak  meñ  ġhubār-e-sharar  hai  aaj
tā-sub.h  hai  ba-manzil-e-maqsad  rasīdanī
dūd-e-charāġh-e-ḳhāna  ġhubār-e-safar  hai  aaj
dūr-ūftāda-e-chaman-e-fikr  hai  'asad'
murġh-e-ḳhayāl  bulbul-e-be-bāl-o-par  hai  aaj