rahm  kar  zālim  ki  kyā  būd-e-charāġh-e-kushta  hai
nabz-e-bīmār-e-vafā  dūd-e-charāġh-e-kushta  hai
dil-lagī  kī  aarzū  bechain  rakhtī  hai  hameñ
varna  yaañ  be-raunaqī  sūd-e-charāġh-e-kushta  hai
nashsha-e-mai  be-chaman  dūd-e-charāġh-e-kushta  hai
jaam  dāġh-e-shola-andūd-e-charāġh-e-kushta  hai
dāġh-e-rabt-e-ham  haiñ  ahl-e-bāġh  gar  gul  ho  shahīd
laala  chashm-e-hasrat-ālūd-e-charāġh-e-kushta  hai
shor  hai  kis  bazm  kī  arz-e-jarāhat-ḳhāna  kā
sub.h  yak-bazm-e-namak  sūd-e-charāġh-e-kushta  hai