daa.im  paḌā  huā  tire  dar  par  nahīñ  huuñ  maiñ
ḳhaak  aisī  zindagī  pe  ki  patthar  nahīñ  huuñ  maiñ
kyuuñ  gardish-e-mudām  se  ghabrā  na  jaa.e  dil
insān  huuñ  piyāla  o  sāġhar  nahīñ  huuñ  maiñ
yā-rab  zamāna  mujh  ko  miTātā  hai  kis  liye
lauh-e-jahāñ  pe  harf-e-mukarrar  nahīñ  huuñ  maiñ
had  chāhiye  sazā  meñ  uqūbat  ke  vāste
āḳhir  gunāhgār  huuñ  kāfar  nahīñ  huuñ  maiñ
kis  vāste  aziiz  nahīñ  jānte  mujhe
la.al  o  zamurrad  o  zar  o  gauhar  nahīñ  huuñ  maiñ
rakhte  ho  tum  qadam  mirī  āñkhoñ  se  kyuuñ  dareġh
rutbe  meñ  mahr-o-māh  se  kam-tar  nahīñ  huuñ  maiñ
karte  ho  mujh  ko  man.a-e-qadam-bos  kis  liye
kyā  āsmān  ke  bhī  barābar  nahīñ  huuñ  maiñ
'ġhālib'  vazīfa-ḳhvār  ho  do  shaah  ko  duā
vo  din  ga.e  ki  kahte  the  naukar  nahīñ  huuñ  maiñ