hasad  se  dil  agar  afsurda  hai  garm-e-tamāshā  ho
ki  chashm-e-tañg  shāyad  kasrat-e-nazzāra  se  vā  ho
ba-qadr-e-hasrat-e-dil  chāhiye  zauq-e-ma.āsī  bhī
bharūñ  yak-gosha-e-dāman  gar  āb-e-haft-dariyā  ho
agar  vo  sarv-qad  garm-e-ḳhirām-e-nāz  aa  jaave
kaf-e-har-ḳhāk-e-gulshan  shakl-e-qamrī  nāla-farsā  ho
baham  bālīdan-e-sañg-o-gul-e-sahrā  ye  chāhe  hai
ki  tār-e-jāda  bhī  kohsār  ko  zunnār-e-mīnā  ho
harīf-e-vahshat-e-nāz-e-nasīm-e-ishq  jab  aa.uuñ
ki  misl-e-ġhuncha  sāz-e-yak-gulistāñ  dil  muhayyā  ho
bajā.e  daana  ḳhirman  yak-bayābāñ  baiza-e-qumrī
mirā  hāsil  vo  nusḳha  hai  ki  jis  se  ḳhaak  paidā  ho
kare  kyā  sāz-e-bīnish  vo  shahīd-e-dard-āgāhī
jise  mū-e-dimāġh-e-be-ḳhudī  ḳhvāb-e-zuleḳhā  ho
dil-e-jūñ-sham.a  bahr-e-dāvat-e-nazzāra  lāya.anī
nigah  labrez-e-ashk  o  siina  ma.amūr-e-tamannā  ho
na  dekheñ  rū-e-yak-dil  sard  ġhair-az  sham-e-kafūrī
ḳhudāyā  is  qadar  bazm-e-'asad'  garm-e-tamāshā  ho